computer ke folder ka icon change kaise kare

    apne computer ke folder par apna photo kaise lagaye

dosto jaisa ki aap sbhi jaante hai. mai apne iss blog par blogging, computer, technology se related jankari share karta hun. aaj mai fir aap logo ke liye ek computer tricks leke aaya hun. mujhe vishvaas hai ki ye tips ap sabhi ko zaroor pasand aayegi. aaj ke iss post me aap sabhi ko mai ye bataunga ki. apne computer ke folder ke icon ko kaise huta kar voha par apna mann pasand photo lagaye. dosto isse aap apne har folder par mann chaha image laga sakte hai. to aaiye lagana seekhte hai.
sabse pehle yeha par click karke ek chhota sa  1 mb ka software download keejiye aur isse apne computer me instaal kar lijiye

1 step
 ab iss software ko open kare

2 step
 ab software me "add" par click kare ab yeha se us image ko select kare jise aapko apne folder par lagana chahate hai. isska size chun le isska size 16*16 rahne de
computer ke folder ka icon change kaise kare
computer ke folder ka icon change kaise kare
ab "convert' par click kare ab yeha par aap desktop par click kare aur ok par click kare ab aapka image jpg formate se icon formate me convert ho chuka hai. ab hum apko batate hai isse folder par kaise set karna hai.

3 step
 ab jis folder par lagana chahte hai us par right click kare fir "property "select kare ab ek new window open hoga

4 step
 issme "customize" par click kare ab aap yeha par dekhenge ki ek jagah "change icon" likha hoga us par click kare ab aap dekhenge ki yaha par bahut se icon honge lekin apko "browse" par click karna hai.

computer ke folder ka icon change kaise kare
computer ke folder ka icon change kaise kare
5 step
yeha se apna wo image choose kare jise aapne pehle icon formate me convert kiya tha ab "ok" click kare fir "apply "par click kare ab phir "ok" par click kare bus ho gaya apke folder ka icon apke photo se change ho jaayega.

agar apko ye jankari acchi lagi ho to like comment zaroor kare aur apne dosto ke saath bhi share kare agar kuchh puchhna ho to vo bhi puchhe hum apki help karne ki puri koshish karenge
apko isski bhi zaroorat padegi
1 bina kisi software ke apne computer ya laptop me screen shot kaise le
Previous
Next Post »